ek baar inn roti hui aankhon mein dekho
kya iss naram dil ko todna jaayaz tha
maine tere saath zindagi dekhi thi
tune use jeene ka ek pal bhi na diya
yeh kaagaz bhi sadd gaye thee
tere khaatir hum zamaane se ladd gaye thee
bikhar gaye thee
kitne zikr kiye thee
par tu aayi nahi
iss zamaane ne kayi daraarein khadi ki
shayad mujh mein hi kami thi
jo main unse ladd na saka
एक बार इन रोती हुई आँखों में देखो
क्या इस नर्म दिल को तोड़ना जायज़ था
मैंने तेरे साथ ज़िंदगी देखी थी
तूने उसे जीने का एक पल भी न दिया
ये काग़ज़ भी सड़ गए थे
तेरे ख़ातिर हम ज़माने से लड़ गए थे
बिखर गए थे
कितने ज़िक्र किए थे
पर तू आई नहीं
इस ज़माने ने कई दरारें खड़ी कीं
शायद मुझ में ही कमी थी
जो मैं उनसे लड़ न सका