← return
umar qaid
i serve a life sentence for trying to forget you
aye khuda iss mulaaqat ka kya matlab jab kismat mein bichadna hi likha ho iss dard ka kya matlab jab koi marz hi na mila ho uski yaadon ko bhulaane ke jurm mein umar qaid hi sahi shayad isi darr ki vajah se hum khud hi ko khatam na kar baithe aakhir aisi naubat na aa jaye ki jaate jaate rishton ki ehmiyat sikha ke chala jaaye
ऐ ख़ुदा इस मुलाक़ात का क्या मतलब जब क़िस्मत में बिछड़ना ही लिखा हो इस दर्द का क्या मतलब जब कोई मर्ज़ ही न मिला हो उसकी यादों को भुलाने के जुर्म में उम्र क़ैद ही सही शायद इसी डर की वजह से हम ख़ुद ही को ख़त्म न कर बैठें आख़िर ऐसी नौबत न आ जाए कि जाते जाते रिश्तों की एहमियत सिखा के चला जाए