iss zindagi ne girke sab sikha diya
jo zakhm the pannon pe sab gawa diya
usi waqt ko farishte se mila diya
uss mein dikhti khushi, bichi jaise waadiyaan
unn nazron mein kuch toh chipa nasha tha
iss shayar ko mohabbat mein duba diya
dono saath janmon ke waade kar chuke the
uski bewafai ne ek bhi na jeene diya
इस ज़िंदगी ने गिरके सब सिखा दिया
जो ज़ख़्म थे पन्नों पे सब गवा दिया
उसी वक़्त को फ़रिश्ते से मिला दिया
उसमें दिखती ख़ुशी, बिछी जैसे वादियाँ
उन नज़रों में कुछ तो छिपा नशा था
इस शायर को मोहब्बत में डुबा दिया
दोनों साथ जन्मों के वादे कर चुके थे
उसकी बेवफ़ाई ने एक भी न जीने दिया